What is Surface Web, Deep web and Dark Web? Full Explained in hindi | Technoloft
What is Surface Web, Deep web and Dark Web? Full Explained in Hindi |Technoloft
To Dosto, kaise ho aap ! aaj ke iss article me baat kareng ki Surface Web, Deep Web aur Dark Web kya hai , to aap jabhi aapko kuchh search karn hota hai to aap google ka use karte hain apne topic ko ya jo kuchh bhi aapk question hota hai to aapko uske result milte hain google me aur aapko jitne bhi aapke serach se related hai wo sare website show ho jate hain thik, ab kuchh aise websites hai jinhe aap normally google me search karke untak nahi pahuch sakte aayeh aaj mai isi ke bare me batane wala hu aap iss articl ko last tak padhe aapke sare doubts clear hojayenge.
Surface Web kya hai ?
To dosto, Surface Web wo hota hai jo aap normally search karte hain internet ka wo parts jo normal logo ke liye aap hum jaiso ke liye available hota hai jaise maan lijiye aapko koi song download karne hai ya movie, games kuchh bhi download karna hai to aap google pe gye wha search kiye aapko bahut sare websites ki list aayengi to wo jitne bhi websites hain wo surface web par hai wo hum aap noramal logo ke liye bani hai koi bhi usko surf kar sakta hai open source hai koi bhi search kar sakta hai ye aap jo article padh rhe ho wo bhi surface web hai kyuki ye sabke liye availbale hai..
Deep Web kya hai?
To ab jaan lete hain ki Deep Web kya hai to deep web wo internet ka wo hissa hai jo normal user usko aasani se acess nahi kar sakte for example dosto maine ek website banayi usme maine ek post aisa banaya jo alag hai matlab secret hai, mai nahi chahte ki wo sabke liye available ho wo kuchh aisi information ho sakti hai ki mai kuchh gine chune logo ko du sabko nahi maan lijiye maine ek post likhi Youtube ke tips aur trick ke bare me aur mai nahi chahte ki wo post sabko pahuche wo post unhi logo ko pahuche jinhe Youtube ke bare janne ki interest hai to wo log usko dekhne ke liye apne username aur password dalenge tabhi usko dekh payenge.
Deep Web ke example me dosto aapke email , Google Drive pe upload ki file ho sakti hai , Goverment ke secret files ho sakte hain etc.
Dark Web kya hai?
Ab aayeh baat kar lete hain Dark Web ki to dark web internet ka sabse khatrank hissa hota hai kyuki jitni bhi illegal activites hoti hai wo dark web par hee hoti hai ye internet ka sabse niche ka Deep Web ke baad wale layer me aati hai ye na hee google ke search engine me aate hain aur na hee normal logo ke paas inka web address hota hai ye chhupe hue rahte hain internet me ye unlogo ko pata hota hai jo dark web me kaam karte hain, dark web me dosto Drug ki dealing , Gambling , Pornography etc jinte bhi illegal kaam hai internt par wo sirf dark web par hote hain.
Dosto mai aapko bata du ki internt ka sirf 5% hissa hee Surface Web hai baki 95% Deep Web aur Dark Web hai.
To Dosto, ummid karta hu ki aapke sare doubts clear ho gye hain maine aasan bhasa me aapko batane ki kosis ki hai agar aapko abhi Surface, Dark , Deep Web se koi question hai ya aapka koi aur topic par aapka question to aap comment kar ke puchh sakte hain.
Thankyou Very Much!!!
Comments
Post a Comment