Window 11 Advantage and Disadvantage in hindi | You should know before upgrading Window 11 | Technoloft
Window 11 Advantage and Disadvantage in hindi | You should know before upgrading Window 11 | Technoloft
To Dosto kaise ho aaj ke iss article me baat karenge ki window 11 ke advantage aur disadvantage ke bare me kya aap ko window 11 me upgrade karna chahiye ki nahi.
Window 11 Minimum System Requirement
aayeh sabse pahle baat kar lete hain ki window 11 ko upgrade karne ke liye aapke pc ka system requirement kitna hona chahiye agar aapke paas i3 7 gen ko incompatible bata diya gya hai agar aapke paas isse kam hai to aap window 11 ko nahi install kr payenge , agar aap kar bhi lete hain kahi se jugad laga ke to wo aapko khud feel hoga ki yaar mera pc pahle se slow chal rha hai ya kuchh bug hai window 11 me bahut sare issue ho sakte hain.
Ab minimum hardware requiremetns ko dekh lete hain
1. 1 gigahertz (GHz) ka processor hona chahiye , at least 2 core hona chahiye
2. 64 bit compatible hona chahiye 32 bit kaam nahi karega
3. UEFI support hona chahiye
4. TPM 2.0 ka Support hona chahiye
5. 4Gb RAM aapke paas hona chahiye
6. 64 GB ka space hona chahiye aapke C drive me jisme aap install karenge
7. 720p pixel ka resolution hona chahiye jo aapka Display Hoga
8. Graphic Card Directx 12 aur WDDM 2.0 Driver hona chahiye
9. Secure Boot aapka kaam karna chahiye
To ye sab the minimum requirements jo hona hee chahiye tabhi aap proper tarike se install kar payenge bina kisi issue ke
Window 11 New Features & Advantages
Ab aayeh baat kar lete hain ki jab aap window 10 se window 11 upgrade karenge to aapko kya kya naye features dekhne ko milenge.
1. Start Menu - Window 11 me Start Menu ko change kar diya aapne window 10 me dekha hoga start menu left me rahta tha lekin ab window 11 me isko aap center me dekhenge aap isko manulaly change bhi kar sakte hain.
2. Snap Layout - Snap Layout ki help se aap window 11 me ek hee time me 4, 5 application ko ek hee time me chala sakte hain aapko minimize karne ki jarurat nahi padegi.
3.Theme Wallpaer - window 11 me naye naye theme aur wallpapr ko add kiya gya hai.
4. Widget - Window 11 me aapko widget dekhne ko milega , aapne dekha hee hoga apne phone me timer ke weather ke ab wo aap apne window 11 me dekhenge wo sab.
5. Task View - Task view aapne window 10 me jarur dekha hoga ek hee time pe bahut sare desktop bana sakte the lekin window 11 me usko thoda change kiya gya hai aap usme apne hisab se alag alag desktop bana sakte hain office work karna hai to uske alag desktop, gaming karna hai to uske alag desktop apne hisab se alag alag software rakh sakte ho.
6. Android App Support - aapne window 10 me dekha hoga ki aapko koi app install karna hota tha to aapko alag se emulator download karna padta tha lekin ab aap window 11 me aapko alag se software download karne ki jarurat nahi.
7. Auto HDR - Window 11 ko gamers ko dhyan me rakh ke banaya gya hai yaha par introduce kiya gya Auto Hdr ka option agar aapka monitor support karega auto hdr to aap iska maja le sakte hain.
Window 11 Disadvantage
Agar aapka system window 11 ke liye supportable nahi hai aur aap fir bhi kahi se jugad lagake window 11 ko install kar lete hain to aapka window 11 chal to jayega lekin aapko kuchh dino me lagne lagega ki mera pc smooth nahi chal rha hai thoda slow chal rha hai ya aur bhi bugs isuue ho sakte hain.
Agar aapka pc Window 11 ke liye compatible hai to aap kar sakte hain aap normal use ke liye kar rhe hain to aapko koi dikkat nahi aayegi aapka 4GB RAM hai to aap isko kar sakte hain lekin aapko thoda better experience chahiye to aap SSD ka use kare aapko achhi speed milegi aur aap thoda RAM badha denge to better hai.
Gaming ke liye Auto HDR ye bahut achha feature hai lekin iske liye aapko waisa montir bhi chahiye
Gaming ke liye agar aapka system achha hai High End Pc hai to fir koi dikkat nahi hai aapko ek achha experience milega window 11 me.
Jaisa ki aap jante hain dosto window 11 naya hai nayi chiz naye bug ke sath aate hain isko thik hone me 3 mahine 4 mahine lag sakte hain lekin aap normal user hain to aapko utna pata bhi nahi chalega .
Last Dosto ki agar aap window 10 se window 11 install karte hain to aapko wapas window 10 me jane ke liye sirf 10 din milte hain genuine tarike se 11 we din aap roll back nahi kar sakte. Internet pe kuchh kuchh tarike hain ki aap 10 din baad roll back kaise kar sakte hain lekin jo genuine tarika hai wo nahi.
To ummid karta hu dosto aapke sare doubts clear ho gye honge agar aapko abhi bhi window 11 se koi sawal hai to aap niche comment kar ke puchh sakte hain mai aapko milunga next article me tab tak ke liye good bye.
Thankyou!!!
Comments
Post a Comment