Ransomware virus kya hai, kaise kaam karta hai, isse bachne ke tarike kya hain
To Dosto, kaise ho aaj ke iss article me baat karenge ki ye Ransomeware
Virus kya hai, kaise kaam karta hai
aur iss virus se kaise bache janege iss post me.
Dekhiye dosto internet me to
aise bahut viruses hain jinse hume bachne ki jarurat hai lekin unmse se sabse
khatrank viruses me most popular Ransomware Virus hai, ye agar ek baar
aapke pc ya mobile me aagya to isse bachna mushkil hai kyuki jab ye aapke pc me
aajayega to aapka pura system lock ho jata hai, aur aapka uss par se control
hat jata hai aur jis hacker ne aapke pc me ye kiya uske paas sara control aa
jata hai.
Ab aise me hackers ki demand hoti hai ki mai iss Ransomware virus ko
aapke pc se hata dunga lekin aapko mujhe itne paise dene honge , ab aise me
computer me aapke jaruri documents (offices) ke file bhi ho sakte hain ya aapke
purane jaruri photos video bhi ho sakte hain, aur aap kuchh apne se kar bhi
nahi sakte to aap sochenge chalo paise dekar jaan chhudate hain, ab ye bhi ho
sakta hai ki hacker aapse paise bhi lele aur aapka system unlock bhi na kare.
Hackers
Ransomware Virus se kya kar sakt hain?
Ø Hackers jo hai aapke pc ko lock kar dete hain puri
trah se aur aapke pc ka sare control unke paas chala jata hai.
Ø Hackers aapse paiso
ki demand karte hain
Ø Hackers aapke
sensitive information ko leak bhi kar sakta hai
Ø Hackers ke paas
pura control rahta hai to wo aapke sare data ko delete bhi kar sakta hai
Ransomware
kaam kaise karta hai
To Dosto, aayeh jaan lete hain ki ye Ransomware Virus kaam kaise karta
hai, to ye aapke email ke jariye bhi aa sakta hai aur website ke jariye bhi ,
ab email se kaise to email me aapko koi link ya file dedega jisse click karne
se wo aapke system me aajayega aur website ki baat kare to aap kisi third party
website se koi free software ya games ke chakkar me wo chiz download kar lete
hain aur aapko website pe kaha bhi jata hai ki agar aapko ye chiz install karna
hai to aapka antivirus off hona chahiye ya window firewall ko off kar de taki
ye aasani se intall ho jayega aur aap dhoke se fas jate ho aur game ke sath
virus bhi install ho jata hai.
Aur ye virus aapke c drive aur registery me add ho jata hai aur aapka pc
lock ho jata hai aur aapka control pc se hat jata hai aur hacker ke paas pura
control aa jata hai.
Ransomware
virus se kaise bache
Ab aayeh jaan lete hain ki Ransomware Virus se kaise bache
Ø Data Backup - Apne jaruri folder
files ka data ka bakup bana le pen drive me kyuki agar aapke sath kabhi hua
aisa to aapko koi aphsos nahi hoga aur ho sake to apne pure system ke bakup
bana le.
Ø Don’t click unknown
link & Don’t install Crack Version Software & Games - Dosto aisi waisi link pe click na kare jo
aapko pata nahi hai ki isko click karne se kya hoga, ho sakta hai uss link ko
click karne se spyware, virus, malware, jaise software download ho jaye aur
dosto aap free ke crack version games aur software ko na hee download kare to
thik rahega uss package me kya hoga aur aap game ke chakkar me virus bhi install
kar lenge to aise third party website se dur hee rahe , humesha authentic
website jo official ho company ka ho aur mobile me aap playstore hee use kare.
Ø Email Prevention - Dosto aise emails ko ignore mare jo kisi aise
person ke dwara bheji gyi ho jise aap jante tak nahi aur khaskar ki usme koi
link ya koi file ho to aise email se dur hee rahe, ho sakta hai aapke click
karne se wo file download ho jaye to usko click na kare.
Ø Use Antivirus &
Firewall - apne system me Firewall ko jarur
on rakhe aur uske sath ek achha paid Antivirus jarur rakhe mere case me kya hua
tha ki mere free antivirus me hee virus tha, aap agar koi software aur games
karte hain to agar aapko kahega ki apne antivirus ya firewall ko off karne ke
liye to mat kijiyega isme virus ho sakta hai.
To ummid hai dosto aapko ye Ransomware Virus kya hai , kaise kaam karta
hai aur isse bachne ke tips aur trick aapko pasand aayi hogi, agar koi aapka
sawal isse related ya koi aur sawal hai to aap niche comment kar ke puchh sakte
hain, mai aapko milta hu next article me tab ke liye good bye.
Thankyou very much!!!
.
Comments
Post a Comment