Stock Rom aur Custom Rom kya hai in dono me kya antar hai
Stock Rom aur Custom Rom kya hai in dono me kya antar hai
To Dosto, kaise ho aaj ke iss article me baat karenge ki Stock Rom aur
Custom kya hota hai aur inn dono me kya antar (Diffrence) hai.
To dosto aap agar Android User hai to aapne apne phone ko upgrade karne
ka jarur socha hoga to aise me ye Stock Rom aur Custom Rom help karte hain
mobile ko upgrade karne me.
To aap ke mobile me kitkat
version hai to aap usko lollipop me ya marshmallow hait to nougat me ya jo koi bhi aapka version ho android 9
ho ya 10 to upgrade karne ke bare me socha hoga to aise me internet me bahut se
tarike bataye jate hain lekinn usme jyadatar tarike Custom Rom se hee
bataya jata hai.
To aayeh jaan lete hain
sabse pahle Stock Rom kya hai...
Stock Rom
kya hai
?
To Dosto, Stock Rom original Rom hota hai jo company aapko mobile
me daal kar deti hai jaise ki aap jo abhi mobile use kar rhe hai chahye android
version 4 kitkat ho ya android version 5 ya android 9 ya 10 ho job hi ho aapka
version company se dal kar jo aati hai wo Stock Rom hee hoti hain. Ye original
Rom hota hai jo Google company ke developers dwara banaya gya hota hai aur isme
bahut kam chance hote hain ki aapko kisi tarah ke bugs dekhne ko milte hain
agar bug bhi dekhne ko milega to google jald hee usko update ke sahare fix kar
deta hai aapne dekha hee hoga aapke phone me updates aate hain bug fix ke
security patches ke hai nah...
Custom
Rom kya hai?
Ab aayeh baat kar lete hain ki ye Custom Rom kya hota hai to dosto, custom rom jo hota hai
nah wo kisi third paty developer dwara bnaya gya hota hai matlab ki ye google
ke developer dwara nahi bnaya gya hota, jo coding ke bare me knowledge rakhte
hain aur jante hain ki kaise Custom Rom bnaya jata hai, Custom Rom matlab ki
customized, jo third party developer
hote hain wo apne hisab se software android ke operating system me changes
karte hain.
To iss trah ke Custom Rom ko
apne phone me karne se pahle aapko phone ko Root krna padta hai.
Ab iss trah ke jo custom rom hote hai nah isme 50 tarike ke error bug
dekhne ko milte hain aur isme update bhi nahi aate aur aap khud se thik bhi
nahi kar sakte iske liye dusra custom rom install karna padega usme bhi bug ho
sakta hai jab ki Stock Rom me ye sab nahi hota wo to official hota hai company
ke taraf se..
Stock Rom
aur Custom me antar (Difference)
Ø Stock Rom official
hota hai jo google company ke developers dwara bnaya gya hota hai , jabki
Custom Rom third party developers dwara bnaya gya hota hai.
Ø Stock Rom me aapke
mobile ki warranty rahti hai lekin wahi Custom Rom me warranty khatam tata bye
bye
Ø Stock Rom me kam
chance hota hai ki aapko bug dekhne ko mile agar bug rahta bhi hai to aapko
update ke sahare bug ko fix kar diye jate hain lekin wahi Custom Rom me aapko
bug hee bug dekhne ko milta hai aur update bhi nahi aata .
Ø Stock Rom google
dwara bnaya hota hai to usme security full rahti hai lekin Custom Rom third
party ke dwara banai gai hoti hai to iski security ghanta nahi hoti.
Ø Stock Rom me pre installed apps hote hain jinko aap
uninstall nahi kar sakte jabki Custom Rom me aap uninstall kar sakte hain apni
marzi se
Ø Stock Rom safe hota
hai isme kisi bhi tarike ka khatra nahi hota , jabki Custom Rom me phone brick
dead bhi ho sakta hai galat custom rom dalne se.
To ummid hai dosto ki aapke sare doubts clear ho gye honge ki Stock Rom
, Custom Rom kya hota hai aur inn dono ke kya fayde aur nuksan hain, agar aapko
abhi bhi isse lekar sawal hai to ya koi bhi sawal hai to aap niche comment
karke puchh sakte hain mai aapko milta hu next post me tab ke ke liye good bye.
Comments
Post a Comment