What is DDOS Attack in hindi and how it works? | Technoloft
What is DDOS Attack in hindi and how it works? | Technoloft
To Dosto kaise ho, aaj ke iss article me baat karenge ki DDOS Attack kya
hai aur ye kaise kaam karta hai janege iss post me.
To aayeh baat kar lete hain sabse pahli ki ye DOS Attack kya hota hai.
DOS (Denial of Service) Attack kya
hai?
DOS ka full form dosto, Denial of Service Attack hota hai, Dosto ye attack kisi ke website pe
bhi ho sakta hai chahe wo Online Shopping ki website ho, Bank ki website,
downloading websites, ya Entertainment ki website ho to ye sab website hum
jaise normal users ke liye bani hoti hai.
Dekhiye dosto har website ki limit hoti hai ki itne second me itne user
aa sakte hain kyuki users data lete hain to server ki ek limit hoti hai send
aur received karne ki to hacker isi
kamjori ka faida uthate hain wo bahut sare fake ips matlab faker users bana
dete hain fake users
Bots hote hain inko Botnet bhi kaha jata hai
Ye Botnets kya karte hain attack karte hain ek sath kisi website pe to
for example maan lijiye ki ek website par 100 log visite kar sakte hain 1
Second me to hacker hai wo kya karega 200 ip banake Botnet dwara uss website ko
visite karwayega to isse kya hoga ki wo server down ya crash ho jayega.
Dos Attack karne ke liye attacker ke paas ek single computer aur ek network
connection hona jaruri hai.
DDOS
(Distributed Denial of Service) Attack kya hai?
DDOS ka full form Distributed Denial of Service hai, DDOS Attack karne
ke liye attacker ek se jyda computers aur network ko use me leta hai.
Isme kya hota hai ki bahut sare devices aur system se alag alag network
se Botnet ke dwara website par visit (attack) karaya jata hai bhari matra me,
Aur website ke system ko ye
lagta hai ki bahut sare real users aa
rhe hain jabki wo botnet hote hain, aur itne sare website pe request aate hai website pe ki wo handle nahi kar pata aur
wo down ya crash hojata hai.
Aapne dosto, dekha hoga ki jab kisi chiz ka result aane wala hota hai
Board ke to aapne dekha hoga ki uss din bhari matra me log website par jate
hain aur website slow ya server down hojata hai,
Ha wo baat alag hai ki yaha real
users aate hain , botnet nahi.
DDOS
Attack karne se hacker ko kya milta hai?
DDOS Attack karne se halaki hacker ko isse koi fayda nahi hota , DDOS
attack ka use kisi se Revenge, Blackmailing karne ke liye karte hain.
Website down ho jati hai to jo real users hain wo log website pe visite
nahi kar pate.
Maan lijiye shopping ki website
hai ya entertainment ki agar wo DDOS attack se down ho gai to real users uska
fayda nahi utha pate, aur company ko jo owner hai website ka usko loss uthana
padta hai.
To ummid hai dosto aapke sare doubts clear ho gye honge ki DOS aur DDOS
Attack kya hai kaise kaam karta hai, agar aapko isse realted koi sawal hai ya
koi aur sawal hai to aap niche comment kar ke puchh sakte hain, mai aapko milta
hu next article me tab tak ke liye good bye.
Thankyou!!!



Comments
Post a Comment