What is Pegasus Spyware and how its works in hindi | Technoloft

 What is Pegasus Spyware and how its works in hindi | Technoloft

To Dosto kaise ho, aaj ke iss article me baat karenge ki ye Pegasus Spyware kya hai aur kaise kaam karta hai isse kaise bache.. janegi iss post me.






















Pegasus Spyware kya hai?

 Pegasus NSO Group dwara banaya gya ek spying software hai, ye Israeli company hai isko desh ke suraksha ke khyal se banaya gya tha, Desh ke suraksha se matlab hai ki Terrorist, Criminals, jaise logo se desh ko bachane ke liye.

Pegasus Spyware ek baar agar kisi ke phone me install ho jaye to uske sari activity me najar rakh sakta hai jaise camera, mic , call, location aapke chats, searches wo sari chize jinhe aap apne phone me karte hain aur ye kisi phone me install ek miss call ya message se install kara sakta hai aur user ko pata tak nahi chalta ki uske phone me koi Sypware hai.

 

Aur isko kisi setting, booting ya phone ko format maar ke bhi isko hataya nahi ja sakta, aur ye Android aur iOS (Apple) ke phone me bhi kaam karta hai jaisa ki aapko dosto pata hai Apple ko kitna secure smartphone mana jata hai.

 

To ye to achhi baat hai nah ki ye agar Pegasus kisi Terrorist ya Criminal ke phone me install ho jayega to wo kya plan kar rhe hain kya aage karne wale hai sari chize sarkar ko pahle se hee pata hogi.

Lekin Sarkar ke upar aarop hai ki bahut sare bade bade log jaise Journalist, Activist, Politicians ke phone me Pegasus Spyware dekha gya hai aapne news me dekha bhi hoga.

 

Kya normal logo ko Pegasus Spyware se khatra hai?

 To mai aapko jankari ke liye bata du ki ye Pegasus Spyware mehanga hai iski kimat lakho crore me hai ye bade bade log neta , patrakar,  bade bade criminals , terrorist ko hack kiya jata hai jinke paas koi khupiya jankari ho ya koi aisi jankari ho jisse desh ko khatra hai.

 

Normal logo ko isse khatra nahi hai lekin hume fir bhi security tips ko dhayn me rakhna chahiye.

 

Ø Phone ko aap automatic update me rakhe khaskar software updates aur playstore ke apps ko.


Unknown link pe click na kare so kis anjaan person dwara bheji gyi ho.


 

Ø Apk download na kare websites se Apps ko humesh playstore se hee download kare.

 

Ø Agar aap aisi jagah pe ho jaha aap internet connection pe trust nahi karte to VPN use kare jaise aap kisi hotel wagaira me jate ho to vpn use kare.

 

To ummid hai dosto aapko samajh me aa gya hoga ki Pegasus Spyware kya hai kaise kaam karta hai aur normal logo ko isse khatra hai ki nahi agar aapka koi sawal hai isse related ya koi aur sawal hai to aap niche comment kar ke puchh sakte hain, mai aapko milta hu next post me tab tak ke liye good bye.

Thankyou very much!!!

 


Comments

Popular posts from this blog