TWRP Custom Recovery kya hai, iske fayde aur nuksaan kya hain
TWRP Custom Recovery kya hai, iske fayde aur nuksaan kya hain
To Dosto, kaise ho aaj ke iss article me baat karenge ki ye TWRP kya hai
aur iske fayde aur nuksaan kya hain.
To Dosto, aap jab aap apne phone ko upgrade karne ke bare me sochte hain
nah to internet me aapko 2 hee tarike milte hain pahle Stock Rom aur Dusra Custom Rom iske bare me maine aapko
pichhle post me bata diya hai ki Stock Rom aur Custom Rom kya hai aur indono me kya antar hai aap isko dekh lenge to aapko aur achhe se samajh me
aayega to jydatar log apne phone ko custom rom se hee upgrade karte hain to
uske liye aapko TWRP ko install
karna hota hai iski madad se hee aap apne phone me custom rom ya stock rom me
install kar pate hain.
TWRP
Custom Recovery kya hai?
To aayeh dosto ab isko thoda detail me samjh lete hain ki ye TWRP kya
hai, TWRP open source custom recovery image
hota hai , iska full form Team Win
Recovery Project hota hai, ye Android Operating System ke liye
banaya gya hai isko aap free me download kar sakte hain iske liye aapko kisi
trah ke paise dene ki jarurat nahi hai.
Ye aapko touch screen interface provide karata hai matlab ki jab aap apne phone
me jab recovery mode me ya format karne switch off karke jate hain to
normally aapko volume down aur up button
se kaam ko karna padta tha lekin ye aap isme touch karke apna kaam custom ya
stock rom ko bade hee aasani se
install kar sakte hain,
Isme aapko backup ka bhi
option milta hai jisse aap apne phone ke jo abhi current rom hai aapka uska
backup le sakte hain aur baad me agar aapko kisi trah ke pareshani aati hai
custom rom install karne pe to aap apne purane wale original stock rom ko
restore kar sakte hain badi hee aasani se.
TWRP
Custom Recovery ke fayde (Advantage)
Ø Twrp jab aap
install kar lenge to iske baad aap koi bhi custom rom se aasani se upgrade
(Flash) kar sakte hain.
Ø Twrp aapko touch
screen interface provide karati hain wahi aap normally jab aap apne phone ko
recovery mode ya hard reset karne jate hain to aap dekhte honge ki aapko sare
kaam volume up down aur power button ka use karna padta tha lekin isme aap
touch karke apna kaam aasni se kar sakte hain.
Ø Twrp ke help se aap
abhi jo curren stock rom use kar rhe hain uska backup le sakte hain aur baad me
agar custom rom aapko pasand ya kisi trah ki parsaani aayi to aap apne purane
wale stock rom ko restore kar sakte hain.
Twrp ke
nuksaan (Disadvantage)
Ø Twrp ko apne phone
me karne ke liye aapke Phone ko Root karna padega nahi to nahi hoga.
Ø Twrp ko install
karne se kai baar dekha gya hai ki phone break aur dead ho jata hai.
Ø Twrp kuchh phones
me support bhi nahi karta
TWRP kya
2022 me karna chahiye?
Dekhiye mera opinion hai ki nahi kyuki iska koi matalab nahi banta agar
aapka phone achha hai hang nahi karta slow kaam utna nahi karta achha khasa
chalta hai to phir nahi kyuki TWRP se custom rom wo log install karte hain
jinke phone purane hain slow hogye hain android version 4,5 ya usse niche hain
aur unko koi update nahi aata to wo log kar sakte hain.
To ummid hai dosto aapke sare doubts clear hogye hong ki TWRP kya hai
aur isko karne ke fayde aur nuksaan kya hain, agar aapko abhi bhi isse related
ya koi aur sawal hai to aap niche comment kar ke puchh sakte hain, mai aapko
milta hu next article me tab ke liye good bye..
Thankyou!!!
Comments
Post a Comment